Mujhe zindagi ke har mod par dhokha mila. Par kisi se gila shikwa nahi. Mujhe dhokha isliye mila kyunki main khud ko hi dhokha de rahi thi, khud se hi jhooth bol rahi thi.
Sach saaf dikh raha tha. Meri antar aatma bol rahi thi- mat ja uss raste. Par khud ke andar ki aawaz jo jhootha karar kar, main dusro par bharosa kar rahi thi.
Aaj himmat hai mujh mein ki apne aap ko dekh sakun. Apni galtiyan maan kar, apne aap ko hi maaf kar sakoon.

Log sirf ek aaina hai. Jo aapka rishta hai apne aap se, us aaine mein dikh jata hai. Khud se pyar karo. Khud ki baat maano. Khud par vishwas karo. Agar nahi chahte aapko koi dhokha de, kam se kam apne aap ko to dhokha dena band karo.